Aaj ka din 
 Yahowa ne banaya hai
 hum usme anandit ho
 anandit ho
 
 Prabhu ko mahima mile 
 chahe ho mera apman
 Wo badhe mei ghatu 
 rahe isi ka dhyan
 Aaj ka din...
 
 Stuti prashnsa kare 
 kyon na kuchh hota rahe
 Usko hum bhate rahe 
 chahe jaha bhi rahe
 Aaj ka din...
 
 Aata hoon tere paas 
 mujhko hai tujhse aas
 Mujhko kabool kar le
 Papo se shudhh kar de
 Aaj ka din...