Prathna Mei Jo Kuchh Manga

Prarthna mei jo kuchh manga
poora karo arman
Sari khatayein mana karoon mei
tera karoon ab dhyan

Dil mei dheemi awaj aayee
apne gunaho ko maan
Jaan liya mei awaj uski
jiska kiya apmaan
Prarthna mei...

Iman laye jis par masiha
aye tumhare paas
Maf karo ab paap hamare
aao hamare paas
Prarthna mei...

Jaana sabhi ko akhir waha hai
hoga jahan insaaf
Dho do dilo ko aaj hamare
kar do lahu se saaf
Prarthna mei...

comments