Zindagi Meri Badal Gayi

Zindagi meri badal gayi,
jab se masih ko paya hai
Khil gayi hai kaliya nayi
yeshu bahar laya hai

Jeevan hai kya pal do pal ka
Kisne hai jaana hoga kya kal ka
Ghadiya sunhari fir na lautengi
Mukti aur jeevan ko laya hai,
Zindagi meri…

Marg mei hmare wo darshak rahega,
kadam dagmagaye,
haath wo thamega
Bhatke huo ko rah dikhane
Is dharti pa wah aaya hai
Zindagi meri…

Jeevan ki roti aur amrit jal ko
Kaisi bharpuri, se deta wo humko
Lahu bahakar paap hamare
Pyare prabhu ne uthaya hai
Zindagi meri…

comments